Chahaton Ka Silsila Hai Mustaqil

chahaton ka silsila hai mustaqil

sabz mausam karb ka hai mustaqil

kya bataun dil mein kis ki yaad ka

ek kanTa chubh raha hai mustaqil

baDh raha hai mustaqil qaht-e-shajar

zahr-aluda faza hai mustaqil

rah-e-ulfat mein kahan aasaniyan

pur-KHatar ye rasta hai mustaqil

aa gai hai fasl-e-azadi magar

KHauf ka pauda hara hai mustaqil

dushmani ke sab dariche band hain

dosti ka dar khula hai mustaqil

ishq ke ek TimTimate dip ne

dil ko raushan kar rakha hai mustaqil

ek mausam ki kasak hai dil mein dafn

miTha miTha dard sa hai mustaqil

zehn o dil ki wadi-e-pur-amn mein

gunjti kis ki sada hai mustaqil

dekh kar rasm-e-wafa is daur ki

sharmgin harf-e-wafa hai mustaqil

gham kisi ka ho gaya 'raghib' nasib

warna is duniya mein kya hai mustaqil

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chahaton Ka Silsila Hai Mustaqil In English By Famous Poet Iftikhar Raghib. Chahaton Ka Silsila Hai Mustaqil is written by Iftikhar Raghib. Read famous Poem Chahaton Ka Silsila Hai Mustaqil for youth and Student by Iftikhar Raghib. Free Download Chahaton Ka Silsila Hai Mustaqil in PDF.