Phir UThaya Jaunga MiTTi Mein Mil Jaane Ke Baad

phir uThaya jaunga miTTi mein mil jaane ke baad

garche hun sahma hua buniyaad hil jaane ke baad

aap ab hum se hamari KHairiyat mat puchhiye

aadmi KHud ka kahan rahta hai dil jaane ke baad

saKHt-jaani ki badaulat ab bhi hum hain taza-dam

KHushk ho jate hain warna peD hil jaane ke baad

KHauf aata hai bulandi ki taraf chaDhte hue

gul ka murjhana hi rah jata hai khil jaane ke baad

fikr lahaq hai hamesha misl-e-tuKHm-e-na-tawan

hashr kya hoga darun-e-ab-o-gil jaane ke baad

is tarah hairan hain sab dekh kar 'raghib' mujhe

jaise koi aa gaya ho mustaqil jaane ke baad

(930) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir UThaya Jaunga MiTTi Mein Mil Jaane Ke Baad In English By Famous Poet Iftikhar Raghib. Phir UThaya Jaunga MiTTi Mein Mil Jaane Ke Baad is written by Iftikhar Raghib. Read famous Poem Phir UThaya Jaunga MiTTi Mein Mil Jaane Ke Baad for youth and Student by Iftikhar Raghib. Free Download Phir UThaya Jaunga MiTTi Mein Mil Jaane Ke Baad in PDF.