Taqdir-e-wafa Ka PhuT Jaana

taqdir-e-wafa ka phuT jaana

main bhula na dil ka TuT jaana

kya deta rahega dil pe dastak

ek jumla jo main ne jhuT jaana

ek surat utarna ghazal mein

lafzon ka pasina chhuT jaana

kya roun tujhe ai dhyan-darpan

pal bhar mein hai tujh ko TuT jaana

kis darja surur-baKHsh tha wo

us kuche mein jhuT-muT jaana

ruk jaega sath dhaDkanon ke

KHamoshi ka TuT-phuT jaana

wo aana kisi ka dil mein 'raghib'

aur sabr-o-qarar luT jaana

(759) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taqdir-e-wafa Ka PhuT Jaana In English By Famous Poet Iftikhar Raghib. Taqdir-e-wafa Ka PhuT Jaana is written by Iftikhar Raghib. Read famous Poem Taqdir-e-wafa Ka PhuT Jaana for youth and Student by Iftikhar Raghib. Free Download Taqdir-e-wafa Ka PhuT Jaana in PDF.