Wo Kahte Hain Ki Aankhon Mein Meri Taswir Kis Ki Hai

wo kahte hain ki aankhon mein meri taswir kis ki hai

main kahta hun ki raushan is qadar taqdir kis ki hai

wo kahte hain ki kis ne aap ko roka hai jaane se

main kahta hun ki mere panw mein zanjir kis ki hai

wo kahte hain ki hai insan to ek KHak ka putla

main kahta hun ki itni azma-o-tauqir kis ki hai

wo kahte hain ki dil mein aap ne kis ko basaya hai

main kahta hun ki ye duniya-e-dil jagir kis ki hai

wo kahte hain ki kis ne ja-ba-ja likhkha hai mera nam

main kahta hun shikasta is qadar tahrir kis ki hai

wo kahte hain ki main ne aap sa same nahin dekha

main kahta hun ki itni pur-kashish taqrir kis ki hai

wo kahte hain tere sheron mein hai shoKHi qayamat ki

main kahta hun KHayal o fikr mein tanwir kis ki hai

wo kahte hain ki hum hain dushmanan-e-amn ke dushman

main kahta hun ki un ke hath mein shamshir kis ki hai

wo kahte hain ki 'raghib' tum nahin rakhte KHayal apna

main kahta hun ki har dam fikr daman-gir kis ki hai

(740) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Kahte Hain Ki Aankhon Mein Meri Taswir Kis Ki Hai In English By Famous Poet Iftikhar Raghib. Wo Kahte Hain Ki Aankhon Mein Meri Taswir Kis Ki Hai is written by Iftikhar Raghib. Read famous Poem Wo Kahte Hain Ki Aankhon Mein Meri Taswir Kis Ki Hai for youth and Student by Iftikhar Raghib. Free Download Wo Kahte Hain Ki Aankhon Mein Meri Taswir Kis Ki Hai in PDF.