Nashat-e-nau Ki Talab Hai Na Taza Gham Ka Jigar

nashat-e-nau ki talab hai na taza gham ka jigar

sukun-girafta ko kaise ho zer-o-bam ka jigar

agarche tishna-nigahi misal-e-sahra hai

nahin hai dast-e-dua ko tere karam ka jigar

jigar ko ishq ne faulad kar diya hai jab

nahin raha hai sitam-kar ko sitam ka jigar

hai iztirab-e-jigar lahr lahr par bhaari

kahan hai bahr ko is tarah pech-o-KHam ka jigar

ye kaam top tapanche ke daere ka nahin

futuh-e-fikr-o-nazar to hai bas qalam ka jigar

hamare mathe mein rakh di hai das ki si sarisht

use KHuda ne diya hai kisi sanam ka jigar

hamari chah mein roi hai zindagi itna

ki pani pani hua ja raha hai sam ka jigar

jigar ka dam hai ki gard-e-zamin se TuTta hai

agarche toD na paya falak bhi dam ka jigar

bas 'azam' aaj to had hi KHumar ne kar di

kahin se ghol ke le aao tair-e-ram ka jigar

(755) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nashat-e-nau Ki Talab Hai Na Taza Gham Ka Jigar In English By Famous Poet Ikram Azam. Nashat-e-nau Ki Talab Hai Na Taza Gham Ka Jigar is written by Ikram Azam. Read famous Poem Nashat-e-nau Ki Talab Hai Na Taza Gham Ka Jigar for youth and Student by Ikram Azam. Free Download Nashat-e-nau Ki Talab Hai Na Taza Gham Ka Jigar in PDF.