Maut Si KHamoshi Jab Un Labon Pe Tari Ki

maut si KHamoshi jab un labon pe tari ki

tab kahin nibha pai rasm raazdari ki

hum abhi nidamat ki qaid se nahin nikle

kaTte hain roz o shab fasl be-qarari ki

bhul hi nahin sakte ai gham-e-jahan tu ne

jis tarah pazirai umr bhar hamari ki

kam zara na hone di ek lafz ki hurmat

ek ahd ki sari umr pasdari ki

sab ana-parasti ki masnadon pe hain faez

sar kare kaDi manzil kaun KHaksari ki

pur-KHatar rifaqat wo jo mafad ke tabe

soch be-samar apni zat ke pujari ki

ek dard ki lazzat barqarar rakhne ko

kuchh latif jazbon ki KHun se aabyari ki

(690) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maut Si KHamoshi Jab Un Labon Pe Tari Ki In English By Famous Poet Ikram Mujeeb. Maut Si KHamoshi Jab Un Labon Pe Tari Ki is written by Ikram Mujeeb. Read famous Poem Maut Si KHamoshi Jab Un Labon Pe Tari Ki for youth and Student by Ikram Mujeeb. Free Download Maut Si KHamoshi Jab Un Labon Pe Tari Ki in PDF.