Aur Hi Kahin Thahre Aur Hi Kahin Pahunche

aur hi kahin Thahre aur hi kahin pahunche

jis jagah pahunchna tha hum wahan nahin pahunche

hijr ki masafat mein sath tu raha har dam

dur ho gae tujh se jab tere qarin pahunche

taer-e-talab ki hai har uDan us dar tak

na-murad dil ka har rasta wahin pahunche

ruKH kare idhar ka hi har azab duniya ka

aasman se jo utre wo bala yahin pahunche

har dil o nazar mein ho ek nikhaar sa paida

bad-guman zehnon tak nemat-e-yaqin pahunche

(727) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Hi Kahin Thahre Aur Hi Kahin Pahunche In English By Famous Poet Ikram Mujeeb. Aur Hi Kahin Thahre Aur Hi Kahin Pahunche is written by Ikram Mujeeb. Read famous Poem Aur Hi Kahin Thahre Aur Hi Kahin Pahunche for youth and Student by Ikram Mujeeb. Free Download Aur Hi Kahin Thahre Aur Hi Kahin Pahunche in PDF.