Masjid-e-ahmarin

main masjid-e-ahmarin ke daman pe sabt patthar

nawah-e-hairat-kada tilismat-e-afiyat tha

na mera fikr-o-nazar se rishta na mera iham-goi shewa

faqat main shahid ibaadaton se chamakte lamhon ki dastan ka

darun-e-masjid khaDe manare azan dete

to wadi-e-ishq se tulua namaz hoti

imam aur muqtadi safiran-e-ahl-e-iman

huzur-yabi ki nudraton se kalam karte salam karte

main masjid-e-ahmarin ke daman pe sabt patthar

gawah-e-awwal gawah-e-aKHir hun us KHajil lamha-e-qafas ka

jab aainon ki ragon mein taza lahu ki hairat

ka KHun hua tha

ajab tulua sahar hui thi

falak ki surKHi utar ke chashm-e-tapan mein aai

chahaar samton mein KHandaqen thin

faza mein raqsan thi bu-e-wahshat

darun-e-masjid bhi kalma-go the

wo kalma-go the ki jin ke hathon mein aslaha tha

chahaar jaanib gharon mein qaidi the

jin ke honTon se bad-duaen phisal rahi thin

main qalb-e-shahr-e-salam andar

nam-o-tabassum se aashna tha magar ye din the

KHajil fasanon ki bazyabi ki suraton ke

safir aate safir jate bilakte bachchon ki aah-o-zari

nahif lahjon ki kapkapahaT samaaton se ulajh rahi thi

faza mein tha KHauf dhund jaise

darun-e-masjid wo ahal-e-mimbar wo ahl-e-jubba

sifaraton ki sabil-e-maKHlut mein ulajh kar

siraat-e-abyaz se haT gae the

main Dar gaya tha main masjid-e-ahmarin ke daman pe sabt patthar

main istada hun ab bhi lekin

na masjid-e-ahmarin hai waisi na muqtadi hain na tifl-o-madar

na ahl-e-mimbar hain jin ki taqrir ne fazaon ka sans khincha

na shorishen shahr-e-kalma-go mein

magar haqiqat mein kya hua tha

lahu main luthDi safon se puchho

chaman mein murda sifaraton ki shabihen dekho

main masjid-e-ahmarin ke daman pe sabt patthar

kai zamanon se ro raha hun

mujhe basarat nahin basirat se dekhiyega

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Masjid-e-ahmarin In English By Famous Poet Iliyas Babar Aawan. Masjid-e-ahmarin is written by Iliyas Babar Aawan. Read famous Poem Masjid-e-ahmarin for youth and Student by Iliyas Babar Aawan. Free Download Masjid-e-ahmarin in PDF.