KHwaja-sara

resha resha git ka goTa har ek ang mein raqs

sans ke bhitar koyal bole panchhi jaisa shaKHs

ungli ke chhalle mein raj kamal ke gore pankh

hae re mori pit nigoDi hae re more pankh

galon par ghaze ke pichhe dard ke sukhe phul

lachkili banhon ki shaKHon par nafrat ki dhul

Thumri ke bolon mein pinhan aklape ka bain

din aankhon mein kaT jata hai kaise kaTe ye rain

qaus-e-quzah se pairahan mein sundar sundar jism

honTon ki phislan par girta paDta kora ism

kali kali qismat un ki nile pile KHwab

itne rangon mein apni pahchan bhi ek azab

(972) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwaja-sara In English By Famous Poet Iliyas Babar Aawan. KHwaja-sara is written by Iliyas Babar Aawan. Read famous Poem KHwaja-sara for youth and Student by Iliyas Babar Aawan. Free Download KHwaja-sara in PDF.