Dil Mein Poshida Tap-e-ishq-e-butan Rakhte Hain

dil mein poshida tap-e-ishq-e-butan rakhte hain

aag hum sang ki manind nihan rakhte hain

tazgi hai suKHan-e-kuhna mein ye baad-e-wafat

log aksar mere jine ka guman rakhte hain

bha gai kaun si wo baat buton ki warna

na kamar rakhte hain kafir na dahan rakhte hain

misl-e-parwana nahin kuchh zar-o-mal apne pas

hum faqat tum pe fida karne ko jaan rakhte hain

mahfil-e-yar mein kuchh baat na nikli munh se

kahne ko shama ki manind zaban rakhte hain

ho gaya zard paDi jis ki hasinon pe nazar

ye ajab gul hain ki tasir-e-KHizan rakhte hain

ewaz-e-mulk-e-jahan mulk-e-suKHan hai 'nasiKH'

go nahin hukm-e-rawan taba-e-rawan rakhte hain

(1608) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mein Poshida Tap-e-ishq-e-butan Rakhte Hain In English By Famous Poet Imam Bakhsh Nasikh. Dil Mein Poshida Tap-e-ishq-e-butan Rakhte Hain is written by Imam Bakhsh Nasikh. Read famous Poem Dil Mein Poshida Tap-e-ishq-e-butan Rakhte Hain for youth and Student by Imam Bakhsh Nasikh. Free Download Dil Mein Poshida Tap-e-ishq-e-butan Rakhte Hain in PDF.