Chain Duniya Mein Zamin Se Ta-falak Dam Bhar Nahin

chain duniya mein zamin se ta-falak dam bhar nahin

dagh hain ye gul nahin nasur hain aKHtar nahin

sar rahe ya jae kuchh hum mai-kashon ko Dar nahin

kaun sa mina-e-mai ai mohtasib be-sar nahin

wo but-e-shirin-ada karta hai mujh ko sangsar

ye shakar-pare baraste hain junun patthar nahin

ho raha hai ek aalam tere abru par nisar

kaun gardan hai jahan mein jo tah-e-KHanjar nahin

dam nikalne par jo aata hai nahin rukta hai phir

dekh lo qasr-e-habab ai ahl-e-ghaflat dar nahin

aadmi to kya wo kahta hai nishan-e-pa se bhi

kyun paDa hai mere kuche mein tera kya ghar nahin

ai tasawwur kyun buton ko jama karta hai yahan

dil mera kaba hai kuchh but-KHana-e-azar nahin

shikwa jo be-naukri ka karte hain nadan hain

aap aaqa hai kisi ka jo koi naukar nahin

hai KHarabaat-e-jahan mein bhi wo saqi se nufur

jo ki ai 'nasiKH' ghulam-e-saqi-e-kausar nahin

(850) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chain Duniya Mein Zamin Se Ta-falak Dam Bhar Nahin In English By Famous Poet Imam Bakhsh Nasikh. Chain Duniya Mein Zamin Se Ta-falak Dam Bhar Nahin is written by Imam Bakhsh Nasikh. Read famous Poem Chain Duniya Mein Zamin Se Ta-falak Dam Bhar Nahin for youth and Student by Imam Bakhsh Nasikh. Free Download Chain Duniya Mein Zamin Se Ta-falak Dam Bhar Nahin in PDF.