Aa Gaya Jab Se Nazar Wo ShoKH Harjai Mujhe

aa gaya jab se nazar wo shoKH harjai mujhe

ku-ba-ku dar dar liye phirti hai ruswai mujhe

kaam aashiq ko kisi ki aib-bini se nahin

husn-bini ko KHuda ne di hai binai mujhe

jaur sahta hun buton ke na-tawani ke sabab

dil uTha lun is qadar kab hai tawanai mujhe

jis tarah aata hai piri mein jawani ka KHayal

wasl ki shab yaad roz-e-hijr mein aai mujhe

ginti ek ek nam ki har gor mein murde hain dafn

baad-e-murdan bhi hui dushwar tanhai mujhe

misl-e-saghar bazm-e-alam mein main kab KHandan hua

kis liye deta hai gardish charKH-e-minai mujhe

ain danai hai 'nasiKH' ishq mein diwangi

aap saudai hain jo kahte hain saudai mujhe

(931) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aa Gaya Jab Se Nazar Wo ShoKH Harjai Mujhe In English By Famous Poet Imam Bakhsh Nasikh. Aa Gaya Jab Se Nazar Wo ShoKH Harjai Mujhe is written by Imam Bakhsh Nasikh. Read famous Poem Aa Gaya Jab Se Nazar Wo ShoKH Harjai Mujhe for youth and Student by Imam Bakhsh Nasikh. Free Download Aa Gaya Jab Se Nazar Wo ShoKH Harjai Mujhe in PDF.