Kaun Sa Tan Hai Ki Misl-e-ruh IsMein Tu Nahin

kaun sa tan hai ki misl-e-ruh is mein tu nahin

kaun gul hai jo tera maskan ba-rang-e-bu nahin

jam-e-nargis mein kahan shabnam jo nikle aaftab

yar ke aage meri aankhon mein ek aansu nahin

yaad-e-gesu mein hua mera ye dhajji sa badan

mujh pe phabti kahte hain mubaf hai gesu nahin

jism aisa ghul gaya hai mujh mariz-e-ishq ka

dekh kar kahte hain sab tawiz hai bazu nahin

dekhe hain hansne mein jis din se dur-e-dandan-e-yar

chain misl-e-gauhar-e-ghaltan kisi pahlu nahin

ishq mein badmast hun main par koi waqif nahin

nashsha hai jam-e-mai-e-ulfat mein lekin bu nahin

zulf-e-jaanan mein nahin koi dil-e-wahshi asir

ye ajab tatar hai jo ek bhi aahu nahin

ho gaya hai ye qiran-e-aftab o mah-e-nau

yar ke ruKHsar-e-atish-rang par abru nahin

ho gaya hai misl-e-mu tar-e-nigah apna siyah

aage aankhon ke sanam jab se tere gesu nahin

raat din naqus kahte hain ba-awaz-e-buland

dair se behtar hai kaba gar buton mein tu nahin

qumriyan diwani hain kyunkar gale mein ho na tauq

bagh mein ek sarw misl-e-qamat-e-dil-ju nahin

(1035) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaun Sa Tan Hai Ki Misl-e-ruh IsMein Tu Nahin In English By Famous Poet Imam Bakhsh Nasikh. Kaun Sa Tan Hai Ki Misl-e-ruh IsMein Tu Nahin is written by Imam Bakhsh Nasikh. Read famous Poem Kaun Sa Tan Hai Ki Misl-e-ruh IsMein Tu Nahin for youth and Student by Imam Bakhsh Nasikh. Free Download Kaun Sa Tan Hai Ki Misl-e-ruh IsMein Tu Nahin in PDF.