Mera Sina Hai Mashriq Aaftab-e-dagh-e-hijran Ka
mera sina hai mashriq aaftab-e-dagh-e-hijran ka
tulu-e-subh-e-mahshar chaak hai mere gareban ka
azal se dushmani taus o mar aapas mein rakhte hain
dil-e-pur-dagh ko kyunkar hai ishq us zulf-e-pechan ka
kisi KHurshid-ru ko jazb-e-dil ne aaj khincha hai
ki nur-e-subh-e-sadiq hai ghubar apne bayaban ka
chamakna barq ka lazim paDa hai abr-e-baran mein
tasawwur chahiye rone mein us ke ru-e-KHandan ka
diya mere janaze ko jo kandha us pari-ru ne
guman hai taKHta-e-tabut par taKHt-e-sulaiman ka
kisi se dil na is wahshat-sara mein main ne aTkaya
na uljha KHar se daman kabhi mere bayaban ka
tah-e-shamshir-e-qatil kis qadar bashshash tha 'nasiKH'
ki aalam har dahan-e-zaKHm par hai ru-e-KHandan ka
(1024) Peoples Rate This