Rifat Kabhi Kisi Ki Gawara Yahan Nahin

rifat kabhi kisi ki gawara yahan nahin

jis sar-zamin ke hum hain wahan aasman nahin

do roz ek waza pe rang-e-jahan nahin

wo kaun sa chaman hai ki jis ko KHizan nahin

ibrat ki ja hai lakhon hi tifl o jawan nahin

piri mein bhi KHayal ajal ka yahan nahin

dushman agar wo dost hua hai to kya ajab

yan e'timad-e-dosti-e-jism-o-jaan nahin

raftar naz mein ye lachak jati hai ki bas

goya teri kamar mein sanam ustuKHan nahin

munim ke shukr mein bhi hilaen kabhi kabhi

tanha barae-lazzat-e-duniya zaban nahin

pazhmurda ek hai to shagufta hai dusra

bagh-e-jahan mein fasl-e-bahaar-o-KHizan nahin

jin ke suron par aap magas-raan rahe huma

un ka lahad mein aaj koi ustuKHan nahin

dhoka na kha zuruf-e-wazu ko tu dekh kar

masjid hai mai-farosh ki 'nasiKH' dukan nahin

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rifat Kabhi Kisi Ki Gawara Yahan Nahin In English By Famous Poet Imam Bakhsh Nasikh. Rifat Kabhi Kisi Ki Gawara Yahan Nahin is written by Imam Bakhsh Nasikh. Read famous Poem Rifat Kabhi Kisi Ki Gawara Yahan Nahin for youth and Student by Imam Bakhsh Nasikh. Free Download Rifat Kabhi Kisi Ki Gawara Yahan Nahin in PDF.