Sab Hamare Liye Zanjir Liye Phirte Hain

sab hamare liye zanjir liye phirte hain

hum sar-e-zulf-e-girah-gir liye phirte hain

kaun tha said-e-wafadar ki ab tak sayyaad

baal-o-par us ke tere tir liye phirte hain

tu jo aae to shab-e-tar nahin yan har su

mishalen nala-e-shab-gir liye phirte hain

teri surat se kisi ki nahin milti surat

hum jahan mein teri taswir liye phirte hain

moatakif garche ba-zahir hun tasawwur mein magar

ku-ba-ku sath ye be-pir liye phirte hain

rang-e-KHuban-e-jahan dekhte hi zard kiya

aap zor aankhon mein iksir liye phirte hain

jo hai marta hai bhala kis ko adawat hogi

aap kyun hath mein shamshir liye phirte hain

sar-kashi shama ki lagti nahin gar un ko buri

log kyun bazm mein gul-gir liye phirte hain

ta gunahgari mein hum ko koi matun na kare

hath mein nama-e-taqdir liye phirte hain

qasr-e-tan ko yun hi banwa ye bagule 'nasiKH'

KHub hi naqsha-e-tamir liye phirte hain

(1152) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Hamare Liye Zanjir Liye Phirte Hain In English By Famous Poet Imam Bakhsh Nasikh. Sab Hamare Liye Zanjir Liye Phirte Hain is written by Imam Bakhsh Nasikh. Read famous Poem Sab Hamare Liye Zanjir Liye Phirte Hain for youth and Student by Imam Bakhsh Nasikh. Free Download Sab Hamare Liye Zanjir Liye Phirte Hain in PDF.