Sanam Kucha Tera Hai Aur Main Hun

sanam kucha tera hai aur main hun

ye zindan-e-dagha hai aur main hun

yahi kahta hai jalwa mere but ka

ki ek zat-e-KHuda hai aur main hun

idhar aane mein hai kis se tujhe sharm

faqat ek gham tera hai aur main hun

kare jo har qadam par ek nala

zamane mein dira hai aur main hun

teri diwar se aati hai aawaz

ki ek baal-e-huma hai aur main hun

na ho kuchh aarzu mujh ko KHudaya

yahi har dam dua hai aur main hun

kiya darban ne sang-e-astana

dar-e-daulat-sara hai aur main hun

gaya wo chhoD kar raste mein mujh ko

ab us ka naqsh-e-pa hai aur main hun

zamane ke sitam se roz 'nasiKH'

nai ek karbala hai aur main hun

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sanam Kucha Tera Hai Aur Main Hun In English By Famous Poet Imam Bakhsh Nasikh. Sanam Kucha Tera Hai Aur Main Hun is written by Imam Bakhsh Nasikh. Read famous Poem Sanam Kucha Tera Hai Aur Main Hun for youth and Student by Imam Bakhsh Nasikh. Free Download Sanam Kucha Tera Hai Aur Main Hun in PDF.