Lamha Meri Giraft Mein Aaya Nikal Gaya

lamha meri giraft mein aaya nikal gaya

jaise kisi ne hath milaya nikal gaya

kanTa sa ek chubha tha mere dil mein KHauf-e-marg

main ne zara sa zor lagaya nikal gaya

shaitan meri zat ke andar muqim tha

loban koThari mein jalaya nikal gaya

jab raat KHub Dhal gai soya mera wajud

kaun-o-makan ki sair ko saya nikal gaya

mujh mein muqim shaKHs musafir tha daimi

saman ek roz uThaya nikal gaya

ek pechdar kil tha ye sirr-e-kaenat

main ne ise pakaD ke ghumaya nikal gaya

(1088) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lamha Meri Giraft Mein Aaya Nikal Gaya In English By Famous Poet Imdad Akash. Lamha Meri Giraft Mein Aaya Nikal Gaya is written by Imdad Akash. Read famous Poem Lamha Meri Giraft Mein Aaya Nikal Gaya for youth and Student by Imdad Akash. Free Download Lamha Meri Giraft Mein Aaya Nikal Gaya in PDF.