Ne Aadmi Pasand Na Isko KHuda Pasand

ne aadmi pasand na is ko KHuda pasand

hai aaine mein qaid mera aaina-pasand

do-chaar din bhi hum se nibahi nahin gai

wo mo'tadil mizaj tha main intiha pasand

wo KHud-fareb shaKHs tha patthar-shanas tha

aaya na us ko koi bhi apne siwa pasand

puchhe hai hum ne kahe kiya kufr iKHtiyar

ghaflat pasand hai na hamein aasra pasand

ghaugha-e-marg chaaron taraf phailne laga

kya is jahan ko chhoD gae baadiya-pasand

us par hi bhejta hai wo aafat bhi maut bhi

shayad use gharib ka bachcha hai na-pasand

aakash ek shaKHs hai duniya se muKHtalif

pahli nazar mein hi tumhein aa jaega pasand

(889) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ne Aadmi Pasand Na Isko KHuda Pasand In English By Famous Poet Imdad Akash. Ne Aadmi Pasand Na Isko KHuda Pasand is written by Imdad Akash. Read famous Poem Ne Aadmi Pasand Na Isko KHuda Pasand for youth and Student by Imdad Akash. Free Download Ne Aadmi Pasand Na Isko KHuda Pasand in PDF.