Jafaen Hoti Hain GhuTta Hai Dam Aisa Bhi Hota Hai

jafaen hoti hain ghuTta hai dam aisa bhi hota hai

magar hum par jo hai tera sitam aisa bhi hota hai

adu ke aate hi raunaq sidhaari teri mahfil ki

maaz-allah insan ka qadam aisa bhi hota hai

rukawaT hai KHalish hai chheD hai iza pe iza hai

sitam ahl-e-wafa par dam-ba-dam aisa bhi hota hai

hasinon ki jafaen bhi talawwun se nahin KHali

sitam ke baad karte hain karam aisa bhi hota hai

dil-e-mahjur aaKHir intiha hai har nahusat ki

kabhi saden hote hain baham aisa bhi hota hai

na kar shikwa hamari be-sabab ki bad-gumani ka

mohabbat mein tere sar ki qasam aisa bhi hota hai

na ho dard-e-judai se jo waqif us ko kya kahiye

hamein wo dekh kar kahte hain gham aisa bhi hota hai

buton ke milne-julne par na jaana ai dil-e-nadan

baDha kar rabt kar dete hain kam aisa bhi hota hai

hamein bazm-e-adu mein wo bulate hain tamanna se

karam aisa bhi hota hai sitam aisa bhi hota hai

jagah di mujh ko kabe mein KHuda-e-pak ne zahid

tu kahta tha ki maqbul-e-haram aisa bhi hota hai

hua karta hai sab kuchh ai 'asar' us ki KHudai mein

karen dawa KHudai ka sanam aisa bhi hota hai

(1018) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jafaen Hoti Hain GhuTta Hai Dam Aisa Bhi Hota Hai In English By Famous Poet Imdad Imam Asar. Jafaen Hoti Hain GhuTta Hai Dam Aisa Bhi Hota Hai is written by Imdad Imam Asar. Read famous Poem Jafaen Hoti Hain GhuTta Hai Dam Aisa Bhi Hota Hai for youth and Student by Imdad Imam Asar. Free Download Jafaen Hoti Hain GhuTta Hai Dam Aisa Bhi Hota Hai in PDF.