Jab KHuda Ko Jahan Basana Tha

jab KHuda ko jahan basana tha

tujh ko aisa nahin banana tha

mere ghar tera aana jaana tha

wo bhi ai yar kya zamana tha

phir gae aap mere kuche se

do qadam par gharib-KHana tha

jo na samjhe ki aashiqi kya hai

us se be-kar dil lagana tha

aae the baKHt aazmane hum

aap ko tegh aazmana tha

ai sitamgar qabr-e-ashiq par

chand aansu tujhe bahana tha

tu ne rahne diya pas-e-diwar

warna apna kahan Thikana tha

ab jahan par hai shaiKH ki masjid

pahle us ja sharab-KHana tha

daKHl ahl-e-riya na rakhte the

pak-bazon ka aana jaana tha

bazm mein ghair ko na bulwate

aap ko jab hamein bulana tha

wo chaman ab KHizan-rasida hai

bulbulon ka jahan tarana tha

sunte hain wo shajar bhi sukh gaya

jis pe sayyaad aashiyana tha

dil na dete use to kya karte

ai 'asar' dukh hamein uThana tha

(812) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab KHuda Ko Jahan Basana Tha In English By Famous Poet Imdad Imam Asar. Jab KHuda Ko Jahan Basana Tha is written by Imdad Imam Asar. Read famous Poem Jab KHuda Ko Jahan Basana Tha for youth and Student by Imdad Imam Asar. Free Download Jab KHuda Ko Jahan Basana Tha in PDF.