Husn Ki Jins KHaridar Liye Phirti Hai

husn ki jins KHaridar liye phirti hai

sath bazar ka bazar liye phirti hai

dar-ba-dar hasrat-e-dildar liye phirti hai

sar-e-har-kucha-o-bazar liye phirti hai

adam-abaad mein aane ka sabab hai zahir

justuju-e-kamar-e-yar liye phirti hai

dil-e-sozan se nahin koi nishan-e-zulmat

mashal-e-ah-e-shab-e-tar liye phirti hai

aate hi fasl-e-KHizan bulbul-e-shaida bahki

har taraf gul ki jagah KHar liye phirti hai

dair o masjid mein tamann-e-ziyarat kis ki

tum ko ai kafir o din-dar liye phirti hai

dasht mein qais ko kya aae nazar jab laila

sath mein gard ki diwar liye phirti hai

daur-e-saghar mein nahin kaf sar-e-baada saqi

duKHt-e-raz shaiKH ki dastar liye phirti hai

KHun-e-farhad se bechain hai ruh-e-shirin

be-sutun se bhi giran-bar liye phirti hai

gul se kyun kah nahin deti hai payam-e-bulbul

apne sar baad-e-saba bar liye phirti hai

manta hi nahin laila ki kare kya laila

sath mein qais ko na-chaar liye phirti hai

sadma pahuncha kisi gul ko ki chaman mein bulbul

KHun mein Dubi hui minqar liye phirti hai

kushta-e-naz ki turbat na milegi bulbul

phul minqar mein be-kar liye phirti hai

tair-e-dil ko hawa-e-KHam-e-zulf-e-sayyaad

surat-e-murgh-e-giraftar liye phirti hai

jumbishe-e-pa se hai galiyon mein qayamat barpa

sath mahshar teri raftar liye phirti hai

kohkan KHud to subuk-dosh hua, par shirin

sar pe ilzam ka kohsar liye phirti hai

dasht-e-ghurbat mein nahin phirta hun KHud aawara

gardish-e-charKH-e-sitamgar liye phirti hai

sath duniya ka nahin talib-e-duniya dete

apne kutton ko ye murdar liye phirti hai

hasrat-e-did 'asar' hazrat-e-'atish' ki tarah

pesh-e-rauzan pas-e-diwar liye phirti hai

(875) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Ki Jins KHaridar Liye Phirti Hai In English By Famous Poet Imdad Imam Asar. Husn Ki Jins KHaridar Liye Phirti Hai is written by Imdad Imam Asar. Read famous Poem Husn Ki Jins KHaridar Liye Phirti Hai for youth and Student by Imdad Imam Asar. Free Download Husn Ki Jins KHaridar Liye Phirti Hai in PDF.