Gham Nahin Mujhko Jo Waqt-e-imtihan Mara Gaya

gham nahin mujh ko jo waqt-e-imtihan mara gaya

KHush hun tere hath se ai jaan-e-jaan mara gaya

tegh-e-abru se dil-e-ashiq ko milti kya panah

jo chaDha munh par ajal ke be-guman mara gaya

manzil-e-mashuq tak pahuncha salamat kab koi

rahzanon se karwan ka karwan mara gaya

dosti ki tum ne dushman se ajab tum dost ho

main tumhaari dosti mein mehrban mara gaya

zahr se kuchh kam na thi dawat meri ghairon ke sath

kya ghazab hai ghar bala kar mehman mara gaya

dasht-e-ghurbat ranj-e-tanhai hujum-e-dard-o-yas

in balaon mein tera aashiq kahan mara gaya

kya halak-e-ishq tere gesuon ka tha 'asar'

sumbulistan ho gaya hai do-jahan mara gaya

(862) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Nahin Mujhko Jo Waqt-e-imtihan Mara Gaya In English By Famous Poet Imdad Imam Asar. Gham Nahin Mujhko Jo Waqt-e-imtihan Mara Gaya is written by Imdad Imam Asar. Read famous Poem Gham Nahin Mujhko Jo Waqt-e-imtihan Mara Gaya for youth and Student by Imdad Imam Asar. Free Download Gham Nahin Mujhko Jo Waqt-e-imtihan Mara Gaya in PDF.