Dil Se Kya Puchhta Hai Zulf-e-girah-gir Se Puchh

dil se kya puchhta hai zulf-e-girah-gir se puchh

apne diwane ka ahwal tu zanjir se puchh

meri jaan-bazi ke jauhar nahin raushan tujh par

kuchh khule hain teri shamshir pe shamshir se puchh

pursish-e-haal ko jati hai kahan ai laila

qais ki shakl hai kya qais ki taswir se puchh

waqif-e-raaz nahin pir-e-mughan sa koi

hai dila puchhna jo kuchh tujhe us pir se puchh

waqif-e-lazzat-e-azar nahin har koi

kya maza gham mein hai ye aashiq-e-dil-gir se puchh

garmi-e-shauq nahin hai to dahan mein ai shama

kis liye teri zaban leta hai gul-gir se puchh

ulTi kyun paDti hai tadbir ye hum kya jaanen

kaun ulaT deta hai is raaz ko tadbir se puchh

mujh se ai dawar-e-mahshar hai ye pursish kaisi

puchhna hai tujhe jo kuchh meri taqdir se puchh

yun to ustad-e-fan-e-sher bahut se guzre

kis ko kahte hain ghazal-goi 'asar' 'mir' se puchh

(922) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Se Kya Puchhta Hai Zulf-e-girah-gir Se Puchh In English By Famous Poet Imdad Imam Asar. Dil Se Kya Puchhta Hai Zulf-e-girah-gir Se Puchh is written by Imdad Imam Asar. Read famous Poem Dil Se Kya Puchhta Hai Zulf-e-girah-gir Se Puchh for youth and Student by Imdad Imam Asar. Free Download Dil Se Kya Puchhta Hai Zulf-e-girah-gir Se Puchh in PDF.