Rote Hain Sun Ke Kahani Meri

rote hain sun ke kahani meri

kash sunte wo zabani meri

kaT gaya ghair mare nalon se

wah-ri saif-zabani meri

aaina dekh ke farmate hain

kis ghazab ki hai jawani meri

phir tumhein nind nahin aane ki

kahin sun li jo kahani meri

bar kiya panw teri mahfil mein

hai subuk tujh pe girani meri

hama-tan-gosh bane sunte hain

ghair kahta hai kahani meri

yaad aaunga jafa-karon ko

be-nishani hai nishani meri

iltija ek muqaddar do the

ghair ki mani na mani meri

hashr mein kuchh na hua mujh se sawal

wah-ri hech-madani meri

ab uThenge tere dar se mar kar

kabhi uThti nahin Thani meri

mere ashaar fughan-e-dil hain

qadr karta hai 'fughani' meri

KHusraw-e-mulk-e-suKHan-dani hun

dad hai baj-satani meri

dil mein poshida rahegi kab tak

aatish-e-shauq-e-nihani meri

tar-e-gesu se nazar ja uljhi

dekhna resha-dawani meri

dil ki haalat se KHabar deti hai

'asar' aashufta-bayani meri

(1272) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rote Hain Sun Ke Kahani Meri In English By Famous Poet Imdad Imam Asar. Rote Hain Sun Ke Kahani Meri is written by Imdad Imam Asar. Read famous Poem Rote Hain Sun Ke Kahani Meri for youth and Student by Imdad Imam Asar. Free Download Rote Hain Sun Ke Kahani Meri in PDF.