Qaid-e-tan Se Ruh Hai Nashad Kya

qaid-e-tan se ruh hai nashad kya

chand-roza umr ki miad kya

meri iza se adu ho shad kya

tujh pe takiya o sitam-ijad kya

un ki KHatir jaen bazm-e-ghair mein

aarzu-e-jannat-e-shaddad kya

pa raha hai dil musibat ke maze

aae lab par shikwa-e-bedad kya

dil mein jo aae use kah Daliye

aap ki baaten karenge yaad kya

dosto aae hain wo dushman ke sath

mujh ko dete ho mubarakbaad kya

jab nahin kuchh e'tibar-e-zindagi

is jahan ka shad kya nashad kya

kuchh agar tasir rakhti hai to khinch

warna ai dil hasil-e-fariyaad kya

jab ba-rang-e-gul hai paband-e-makan

bandhte hain sarw ko aazad kya

hai tera pamal har naKHl-e-chaman

tere aage sarw kya shamshad kya

yar ki taswir dil par khinch li

khinchte hum minnat-e-bahzad kya

ghair dil se ek dam jata nahin

hum tujhe aaen sitamgar yaad kya

mujh se pahle sun chuke hain ghair ki

wo mere haq mein karen irshad kya

sar Tapakte hain asiran-e-qafas

hai chaman ki ai saba rudad kya

aashiqi hai sar pe lena koh-e-gham

nazish-e-sar bazi-e-farhad kya

arz apni hai jo hai arz-e-adu

dekhiye karte hain wo irshad kya

sar-kashi tujh se kare kya tab hai

aadmi ki ai KHuda buniyaad kya

be-haqiqat jaan kar dil ko 'asar'

to ne ai nadan kiya barbaad kya

(814) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qaid-e-tan Se Ruh Hai Nashad Kya In English By Famous Poet Imdad Imam Asar. Qaid-e-tan Se Ruh Hai Nashad Kya is written by Imdad Imam Asar. Read famous Poem Qaid-e-tan Se Ruh Hai Nashad Kya for youth and Student by Imdad Imam Asar. Free Download Qaid-e-tan Se Ruh Hai Nashad Kya in PDF.