Mere Sar Mein Jo Raat Chakkar Tha

mere sar mein jo raat chakkar tha

us ke zanu pe ghair ka sar tha

apne ghar un ko kya bulate hum

boriya bhi nahin mayassar tha

zabt-e-dil par bhi us ki mahfil mein

apna rumal ashk se tar tha

jaan dene mein soch kya karte

muflisi par bhi dil tawangar tha

KHub-o-zisht-e-jahan ka farq na puchh

maut jab aai sab barabar tha

aap jab tak na le chuke the dil

kuchh mizaj aur banda-parwar tha

hijr lahiq hua visal ke baad

kya hi ulTa mera muqaddar tha

jaur-e-ada ki tab kya lata

dil-e-kam-baKHt naz-parwar tha

sohbat-e-hur se hui nafrat

main jo teri ada ka KHugar tha

hai 'asar' ya nahin KHuda jaane

sunte hain us ka haal abtar tha

(787) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Sar Mein Jo Raat Chakkar Tha In English By Famous Poet Imdad Imam Asar. Mere Sar Mein Jo Raat Chakkar Tha is written by Imdad Imam Asar. Read famous Poem Mere Sar Mein Jo Raat Chakkar Tha for youth and Student by Imdad Imam Asar. Free Download Mere Sar Mein Jo Raat Chakkar Tha in PDF.