Subh-dam Roti Jo Teri Bazm Se Jati Hai Shama

subh-dam roti jo teri bazm se jati hai shama

saf mere soz-e-gham ka rang dikhlati hai shama

jis tarah kale ke man ke ru-ba-ru gul ho charagh

dekh kar tawiz-e-zulf-e-yar bujh jati hai shama

sirf parwana adab se dam-ba-KHud rahta nahin

tere roab-e-husn se mahfil mein tharraati hai shama

gher lete hain tujhe parwane us ko chhoD kar

jis mein tu ho kab farogh us bazm mein pati hai shama

karband-e-adl hote hain jo hain raushan-dimagh

bazm mein har samt yaksan nur pahunchati hai shama

parda-e-fanus se bahar nahin rakhti qadam

ru-ba-ru tere ruKH-e-raushan ke sharmati hai shama

ja-e-girya sohbat-e-ahle--tamasha hai 'asar'

hai baja roti hui jo bazm mein aati hai shama

(721) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subh-dam Roti Jo Teri Bazm Se Jati Hai Shama In English By Famous Poet Imdad Imam Asar. Subh-dam Roti Jo Teri Bazm Se Jati Hai Shama is written by Imdad Imam Asar. Read famous Poem Subh-dam Roti Jo Teri Bazm Se Jati Hai Shama for youth and Student by Imdad Imam Asar. Free Download Subh-dam Roti Jo Teri Bazm Se Jati Hai Shama in PDF.