Suli ChaDhe Jo Yar Ke Qad Par Fida Na Ho

suli chaDhe jo yar ke qad par fida na ho

phansi chaDhe jo qaidi-e-zulf-e-rasa na ho

mazmun wo kya jo lazzat-e-gham se bhara na ho

shaer wo kya kalam mein jis ke maza na ho

bad-nam mere waste wo dilruba na ho

ya-rab adu ke hath se meri qaza na ho

jab apni koi baat baghair-az-dua na ho

dushman ke kahne sunne se nadan KHafa na ho

ho wo agar KHilaf-e-muafiq hawa na ho

Dube wo naw jis ka KHuda naKHuda na ho

dil-dadgi ko husn-e-KHuda-dad kam nahin

naseh agar nahin hai buton mein wafa na ho

roz-e-jaza wo shoKH mile hum ko ai KHuda

is ke siwa kuchh aur adu ki saza na ho

mushkil ka samna ho to himmat na haariye

himmat hai shart sahib-e-himmat se kya na ho

but aazaran-e-waqt banaen agar hazar

tera nazir ek bhi nam KHuda na ho

dhoke mein mere qatl kya us ne ghair ko

qatil ka kya qusur jo meri qaza na ho

sach hai ki har kamal ko duniya mein hai zawal

aisa baDa hai kaun jo aaKHir ghaTa na ho

roz-e-jaza se waiz-e-nadan use Dara

sadma shab-e-firaq ka jis ne saha na ho

milta nahin pata tere chhalle ke chor ka

ai gul-badan ye shoKHi-e-duzd-e-hina na ho

tera gila na ghair ka shikwa zaban pe hai

karta hun arz haal-e-sitamgar KHafa na ho

pate hain kaj-sarisht jaza apne feal ki

kahti hai rasti ki bure ka bhala na ho

bulbul na phul KHanda-e-subh-e-bahaar par

nadan kahin ye KHanda-e-dandan-numa na ho

teri zaban pe aae agar harf-e-iltiyam

kyun kar shikast-e-dil ke liye momya na ho

ghafil mariz-e-ishq ki tu ne KHabar na li

tha ghair us ka haal wo ab tak ho ya na ho

sharminda ai karim na hon aashiqon mein hum

pursish hamare qatl ki roz-e-jaza na ho

karta hai ai 'asar' dil-e-KHun-gashta ka gila

aashiq wo kya ki KHasta-e-tegh-e-jafa na ho

(1035) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Suli ChaDhe Jo Yar Ke Qad Par Fida Na Ho In English By Famous Poet Imdad Imam Asar. Suli ChaDhe Jo Yar Ke Qad Par Fida Na Ho is written by Imdad Imam Asar. Read famous Poem Suli ChaDhe Jo Yar Ke Qad Par Fida Na Ho for youth and Student by Imdad Imam Asar. Free Download Suli ChaDhe Jo Yar Ke Qad Par Fida Na Ho in PDF.