Teri Jaanib Se Mujh Pe Kya Na Hua

teri jaanib se mujh pe kya na hua

KHair guzri ki tu KHuda na hua

kyun tera aashna adu Thahre

jab tere gham se aashna na hua

mar ke us ki gali ki KHak hua

main fana ho ke bhi fana na hua

mar Dala mujhe adu ke liye

haif tu sabr-azma na hawa

chhuTta kya tumhaare hathon se

KHun-e-ahl-e-wafa hina na hua

aa nikalta wo mere kuche mein

tujh se itna bhi ai dua na hua

koi parwa nahin kaminon ki

aasman mehrban hua na hua

ab sitam ghair par wo karte hain

mera marna mujhe bura na hua

ai 'asar' tujh ko phir gila kya hai

jab kisi ka wo be-wafa na hua

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Jaanib Se Mujh Pe Kya Na Hua In English By Famous Poet Imdad Imam Asar. Teri Jaanib Se Mujh Pe Kya Na Hua is written by Imdad Imam Asar. Read famous Poem Teri Jaanib Se Mujh Pe Kya Na Hua for youth and Student by Imdad Imam Asar. Free Download Teri Jaanib Se Mujh Pe Kya Na Hua in PDF.