Raat Charagh Ki Mahfil Mein Shamil Ek Zamana Tha

raat charagh ki mahfil mein shamil ek zamana tha

lekin sath mein jalne wali raat thi ya parwana tha

KHizar nahin rahzan hi hoga rah mein jis ne luT liya

lekin yaro shak hota hai kuchh jaana pahchana tha

shab-bhar jis rudad-o-alam par ashk bahate guzri thi

subh hui to hum ne jaana apna hi afsana tha

kaun hamare dard ko samjha kis ne gham mein sath diya

kahne ko to sath hamare tum kya ek zamana tha

log use jo chahen kah len apna to ye haal raha

sirf unhin se zaKHm mile hain jin se kuchh yarana tha

maslahaton ki is basti mein lab khulte ye tab na thi

waz-e-junun ki baat na puchho wo bhi ek bahana tha

talKHi-e-gham pahunche the bhulane sud-o-ziyan mein uljhe hain

baada-faroshon ki manDi thi nam magar mai-KHana tha

jin ki KHatir hum ne apna zauq-e-talab badnam kiya

aaj wahi kahte hain hans kar shair tha diwana tha

(704) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Charagh Ki Mahfil Mein Shamil Ek Zamana Tha In English By Famous Poet Imdad Nizaamii. Raat Charagh Ki Mahfil Mein Shamil Ek Zamana Tha is written by Imdad Nizaamii. Read famous Poem Raat Charagh Ki Mahfil Mein Shamil Ek Zamana Tha for youth and Student by Imdad Nizaamii. Free Download Raat Charagh Ki Mahfil Mein Shamil Ek Zamana Tha in PDF.