Diwangi Mein Apna Pata Puchhta Hun Main

diwangi mein apna pata puchhta hun main

ai ishq is maqam pe to aa gaya hun main

Dar hai ki dam na toD dun ghuT ghuT ke ek din

barson se apne jism ke andar paDa hun main

tufan mein jo na bujh sake honge wo aur log

aandhi se iKHtilaf mein aksar bujha hun main

lagta hai lauT jaegi mayus nind phir

masruf us ki yaadon mein baiTha hua hun main

in hadson se kah de zara sabr to karen

ai zist teri bazm mein bilkul naya hun main

kirdar aadhe mar chuke aadhe palaT gae

is waqt kyun fasane mein laya gaya hun main

raushan karo mujhe ki zara tirgi haTe

bekar kab se taq pe rakkha hua hun main

aa aa ke kyun Thaharti hain mujh mein hi KHwahishen

hotel hun ya sarae hun batlao kya hun main

sau bar imtihan zaruri hai kya mera

kafi nahin hai kah diya tujh se tera hun main

kuchh to chamak dikhe mere ashaar mein mujhe

muddat se shaeri mein lahu thukta hun main

(766) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Diwangi Mein Apna Pata Puchhta Hun Main In English By Famous Poet Imran Husain Azad. Diwangi Mein Apna Pata Puchhta Hun Main is written by Imran Husain Azad. Read famous Poem Diwangi Mein Apna Pata Puchhta Hun Main for youth and Student by Imran Husain Azad. Free Download Diwangi Mein Apna Pata Puchhta Hun Main in PDF.