Ek Muddat Se To Thahre Hue Pani Mein Hun Main

ek muddat se to Thahre hue pani mein hun main

aur had ye hai ki kahna hai rawani mein hun main

zindagi jakDe hue thi mere andar mujh ko

maut ke baad laga jaise rawani mein hun main

mere hone pe jahan mujh ko hi shak hota tha

aaj us shahr ki nayab nishani mein hun main

mera kirdar to bilkul bhi nahin mujh jaisa

koi batlae mujhe kis ki kahani mein hun main

kitni hi tarah se kaghaz pe likhun KHud ko magar

mujh ko malum hai bas ek maani mein hun main

KHud ko tamir karun aur bikhar bhi jaun

apni nakaam tamannaon ke sani mein hun main

qabr viran mere jism se baDh kar to nahin

kis liye KHauf-zada naql-e-makani mein hun main

hadse dard ghuTan sare wahi hain kewal

ab ke kirdar kisi aur kahani mein hun main

mere jazbaat to buDhon ki tarah lagte hain

sirf chehra ye batata hai jawani mein hun main

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Muddat Se To Thahre Hue Pani Mein Hun Main In English By Famous Poet Imran Husain Azad. Ek Muddat Se To Thahre Hue Pani Mein Hun Main is written by Imran Husain Azad. Read famous Poem Ek Muddat Se To Thahre Hue Pani Mein Hun Main for youth and Student by Imran Husain Azad. Free Download Ek Muddat Se To Thahre Hue Pani Mein Hun Main in PDF.