KHizan Ke Hosh Kisi Rose Main UData Hua

KHizan ke hosh kisi rose main uData hua

tumhein dikhunga yaqinan bahaar lata hua

tamam war meri ruh par the lekin main

tamam umr phira jism ko bachata hua

KHushi se karna rawana mere makan mujh ko

main haar jaun agar wahshaten haraata hua

bahut udas akela hamesha lauTa kyun

falak pe jo bhi dikha mujh ko jagmagata hua

mujhe bulane makan aa na jae sahra tak

main ghar se aaya to hun naqsh-e-pa miTata hua

tumhaari yaad hai bikhri paDi kai din se

laraz raha hun main apne hi ghar mein aata hua

hai ek gharib ke bachche si zindagi apni

KHushi ka parb bhi guzre jise rulata hua

ye tere lams ka jadu hai ya wafa meri

badan se aa gaya bahar gale lagata hua

(675) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHizan Ke Hosh Kisi Rose Main UData Hua In English By Famous Poet Imran Husain Azad. KHizan Ke Hosh Kisi Rose Main UData Hua is written by Imran Husain Azad. Read famous Poem KHizan Ke Hosh Kisi Rose Main UData Hua for youth and Student by Imran Husain Azad. Free Download KHizan Ke Hosh Kisi Rose Main UData Hua in PDF.