Kab Kaha Maine Mujhe Sara Zamana Chahiye

kab kaha main ne mujhe sara zamana chahiye

sirf mujh ko aap ke dil mein Thikana chahiye

aql kahti hai ki us ko bhul jaana chahiye

dil ye kahta hai use apna banana chahiye

jo hamare baad aaen kam se kam bhaTken na wo

ku-e-fan mein ek diya aisa jalana chahiye

ta-had-e-imkan hum ne hi manaya hai tumhein

hum kabhi ruThen to tum ko bhi manana chahiye

apni KHatir chhoDiye auron ki KHatir hi sahi

kam se kam mahfil mein tum ko muskurana chahiye

rah takte takte us ki ek arsa ho gaya

jaane wale ko to ab tak lauT aana chahiye

sona chandi kha ke 'saghar' zinda rah sakte nahin

zinda rahne ke liye to aab-o-dana chahiye

(874) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Kaha Maine Mujhe Sara Zamana Chahiye In English By Famous Poet Imran Saghar. Kab Kaha Maine Mujhe Sara Zamana Chahiye is written by Imran Saghar. Read famous Poem Kab Kaha Maine Mujhe Sara Zamana Chahiye for youth and Student by Imran Saghar. Free Download Kab Kaha Maine Mujhe Sara Zamana Chahiye in PDF.