Main Apne Haal-e-zar Ka Aaina-dar Hun

main apne haal-e-zar ka aaina-dar hun

jaise kisi gharib ka ujDa mazar hun

kyun tanz aap karte hain mere gunah par

ye main ne kab kaha hai ki parhez-gar hun

yarab meri tarah se koi aur bhi hai kya

ya sirf ek main hi yahan sangsar hun

jo dil ki baat thi wahi lafzon mein Dhaal di

duniya samajh rahi hai ki taKHliq-kar hun

socha tha tujh ko pa ke milega mujhe qarar

tu mil gaya to aur bhi main be-qarar hun

naz-o-niam se pal ke jis ko jawan kiya

afsos aaj main usi beTe pe bar hun

(992) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Apne Haal-e-zar Ka Aaina-dar Hun In English By Famous Poet Imran Saghar. Main Apne Haal-e-zar Ka Aaina-dar Hun is written by Imran Saghar. Read famous Poem Main Apne Haal-e-zar Ka Aaina-dar Hun for youth and Student by Imran Saghar. Free Download Main Apne Haal-e-zar Ka Aaina-dar Hun in PDF.