Main Apni Haisiyat Se Kuchh Ziyaada Le Ke Aaya Hun

main apni haisiyat se kuchh ziyaada le ke aaya hun

main qatra hun magar hamrah dariya le ke aaya hun

mujhe bhi kuchh attar kar de ujala banTne wale

teri KHidmat mein tamhid-e-tamanna le ke aaya hun

tumhaari aankh ke raste tumhaare dil mein utrunga

main azm-o-hausla puKHta irada le ke aaya hun

ajal ne kaam apna kar diya rishwat nahin khai

main kafi der tak chiKHa ki paisa le ke aaya hun

chale aao ki pahle ki tarah matam karen mil kar

main apne dil ke armanon ka lasha le ke aaya hun

mujhe har haal mein tarikiyon ka sar kuchalna hai

hatheli par uga kar chand tara le ke aaya hun

meri tahrir se 'saghar' abhi tak KHun Tapakta hai

main in kaghaz ke TukDon mein kaleja le ke aaya hun

(1136) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Apni Haisiyat Se Kuchh Ziyaada Le Ke Aaya Hun In English By Famous Poet Imran Saghar. Main Apni Haisiyat Se Kuchh Ziyaada Le Ke Aaya Hun is written by Imran Saghar. Read famous Poem Main Apni Haisiyat Se Kuchh Ziyaada Le Ke Aaya Hun for youth and Student by Imran Saghar. Free Download Main Apni Haisiyat Se Kuchh Ziyaada Le Ke Aaya Hun in PDF.