Pareshan Hun Tera Chehra Bhulaya Bhi Nahin Jata

pareshan hun tera chehra bhulaya bhi nahin jata

kisi se haal-e-dil apna sunaya bhi nahin jata

wo aa jae to ye bhi kah nahin sakta Thahar jao

agar wo ja raha ho to bulaya bhi nahin jata

zaban KHamosh rahti hai par aankhen bol deti hain

in aankhon se to raaz-e-dil chhupaya bhi nahin jata

sabhi 'imrran' ki surat nahin hote hain duniya mein

har ek insan ko dil mein basaya bhi nahin jata

koi taqat mujhe marne nahin deti hai ai 'sagar'

main marna chahta hun zahr khaya bhi nahin jata

(899) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pareshan Hun Tera Chehra Bhulaya Bhi Nahin Jata In English By Famous Poet Imran Saghar. Pareshan Hun Tera Chehra Bhulaya Bhi Nahin Jata is written by Imran Saghar. Read famous Poem Pareshan Hun Tera Chehra Bhulaya Bhi Nahin Jata for youth and Student by Imran Saghar. Free Download Pareshan Hun Tera Chehra Bhulaya Bhi Nahin Jata in PDF.