Tumne Ye Majra Suna Hai Kya

tum ne ye majra suna hai kya

jo bhi hona hai ho chuka hai kya

wo musafir jo raste mein tha

manzilon se guzar gaya hai kya

koi hota nahin hai aap ke sath

aap ke sath masala hai kya

ye jo tadbir kar raha hun main

ye bhi taqdir mein likha hai kya

sochne wali baat hai 'imrran'

koi ye baat sochta hai kya

dal badal jae ghar badal jae

aadmi ka koi pata hai kya

kya hai ye mustatil tanhai

ye udasi ka daera hai kya

ghaur se kaun dekhta hai yahan

in charaghon mein jal raha hai kya

kyun wo sar par sawar hai 'imrran'

tere dil se utar gaya hai kya

(879) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumne Ye Majra Suna Hai Kya In English By Famous Poet Imran Shamshad. Tumne Ye Majra Suna Hai Kya is written by Imran Shamshad. Read famous Poem Tumne Ye Majra Suna Hai Kya for youth and Student by Imran Shamshad. Free Download Tumne Ye Majra Suna Hai Kya in PDF.