Kuchh To Ai Yar Ilaj-e-gham-e-tanhai Ho

kuchh to ai yar ilaj-e-gham-e-tanhai ho

baat itni bhi na baDh jae ki ruswai ho

Dubne wale to aankhon se bhi kab nikle hain

Dubne ke liye lazim nahin gahrai ho

jis ne bhi mujh ko tamasha sa bana rakkha hai

ab zaruri hai wahi shaKHs tamashai ho

main mohabbat mein luTa baiTha hun dil ki duniya

kaam ye aisa bhi kab hai ki pazirai ho

ajnabi tum se koi baat jo kar li main ne

log kahne lage harjai ho harjai ho

koi anjaan na ho shahr-e-mohabbat ka makin

kash har dil ki har ek dil se shanasai ho

main mohabbat ko chhupata raha lekin be-sud

baat chhupti hai kahan jis mein ki sachchai ho

aaj to bazm mein har aankh thi pur-nam jaise

dastan meri kisi ne yahan dohrai ho

main tujhe jit bhi tohfe mein nahin de sakta

chahta ye bhi nahin hun teri paspai ho

ab ke sawan to barasta hua yun lagta hai

aasman par bhi tere gham ki ghaTa chhai ho

yun guzar jata hai 'imrran' tere kuche se

tera waqif na ho jaise koi saudai ho

(1656) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh To Ai Yar Ilaj-e-gham-e-tanhai Ho In English By Famous Poet Imran Shanawar. Kuchh To Ai Yar Ilaj-e-gham-e-tanhai Ho is written by Imran Shanawar. Read famous Poem Kuchh To Ai Yar Ilaj-e-gham-e-tanhai Ho for youth and Student by Imran Shanawar. Free Download Kuchh To Ai Yar Ilaj-e-gham-e-tanhai Ho in PDF.