Iqrar

teri sanjida baaten yaad aaen to hansati hain

teri sab bholpan mein ki hui baaten satati hain

tera ye bachpana to jaane kab jaega jaan-e-jaan

tujhe bhi pyar karna jaane kab aaega jaan-e-jaan

bhari mahfil mein sab ke samne iqrar karta hun

main tum se pyar karta hun tumhi se pyar karta hun

na ho mujh par yaqin tum ko to ek din aazma lena

aur us ke baad jaan-e-jaan mujhe apna bana lena

(1510) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Iqrar In English By Famous Poet Imran Shanawar. Iqrar is written by Imran Shanawar. Read famous Poem Iqrar for youth and Student by Imran Shanawar. Free Download Iqrar in PDF.