Apne Lahu Mein Zahr Bhi KHud Gholta Hun Main

apne lahu mein zahr bhi KHud gholta hun main

soz-e-darun kisi pe nahin kholta hun main

aflak meri durd-e-tah-e-jam mein hain gum

tasbih-e-mahr-o-anjum-o-mah rolta hun main

kuchh na samajh ke uTh chale sab mere gham-gusar

jaane wahi ki jis ki zaban bolta hun main

kya jaane shaKH-e-waqt se kis waqt gir paDun

manind-e-barg-e-zard abhi Dolta hun main

bazar-e-dil mein dard ka gahak nahin koi

mizan-e-arzu mein ziyan taulta hun main

'imrran' bu-e-gul se hain naKHun mahak uThe

ye kis hasin ke band-e-qaba kholta hun mein

(880) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Lahu Mein Zahr Bhi KHud Gholta Hun Main In English By Famous Poet Imran-ul-haq Chauhan. Apne Lahu Mein Zahr Bhi KHud Gholta Hun Main is written by Imran-ul-haq Chauhan. Read famous Poem Apne Lahu Mein Zahr Bhi KHud Gholta Hun Main for youth and Student by Imran-ul-haq Chauhan. Free Download Apne Lahu Mein Zahr Bhi KHud Gholta Hun Main in PDF.