Teri Fuzul Bandagi Bana Na De KHuda Mujhe

teri fuzul bandagi bana na de KHuda mujhe

main kya hun aur tu samajh raha hai jaane kya mujhe

na tu nazar mein hai kahin na dasht hai na shahr hai

ye kis KHala mein khinch lae tere naqsh-e-pa mujhe

tu apna kaam kar guzar mujhe koi gila nahin

jo waqt ne bana diya hawa tujhe diya mujhe

tujhe hi sochte hue phir aaj so gaya hun main

guzar tera ho KHwab se to nind se jaga mujhe

wahan se dekhti hai kya hawa-e-dast-e-mariya

zara mere qarib aa main KHak hun uDa mujhe

main jaante hue bhi sab KHaridta chala gaya

wo ashk bechta raha bata ke qahqaha mujhe

mile tamam log zindagi ki dhup-chhanw mein

bas ek 'imtiyaz' hi kahin nahin mila mujhe

(776) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Fuzul Bandagi Bana Na De KHuda Mujhe In English By Famous Poet Imtiyaz Ahmad. Teri Fuzul Bandagi Bana Na De KHuda Mujhe is written by Imtiyaz Ahmad. Read famous Poem Teri Fuzul Bandagi Bana Na De KHuda Mujhe for youth and Student by Imtiyaz Ahmad. Free Download Teri Fuzul Bandagi Bana Na De KHuda Mujhe in PDF.