Wo Tabassum Tha Jahan Shayad Wahin Par Rah Gaya

wo tabassum tha jahan shayad wahin par rah gaya

meri aankhon ka har ek manzar kahin par rah gaya

main to ho kar aa gaya aazad us ki qaid se

dil magar is jald-bazi mein wahin par rah gaya

kaun sajdon mein nihan hai jo mujhe dikhta nahin

kis ke bose ka nishan meri jabin par rah gaya

hum ko aksar ye KHayal aata hai us ko dekh kar

ye sitara kaise ghalati se zamin par rah gaya

hum labon ko khol hi kab pae us ke samne

ek naya ilzam phir dekho hamin par rah gaya

(847) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Tabassum Tha Jahan Shayad Wahin Par Rah Gaya In English By Famous Poet Imtiyaz Ahmad. Wo Tabassum Tha Jahan Shayad Wahin Par Rah Gaya is written by Imtiyaz Ahmad. Read famous Poem Wo Tabassum Tha Jahan Shayad Wahin Par Rah Gaya for youth and Student by Imtiyaz Ahmad. Free Download Wo Tabassum Tha Jahan Shayad Wahin Par Rah Gaya in PDF.