Yunhi Aksar Mujhe Samjha Bujha Kar LauT Jati Hai

yunhi aksar mujhe samjha bujha kar lauT jati hai

kisi ki yaad mere pas aa kar lauT jati hai

main bad-qismat wo gulshan hun KHizan jis ka muqaddar hai

bahaar aati hai darwaze se aa kar lauT jati hai

use apna banane mein bhi ek anjaan sa Dar hai

dua honTon talak aati hai aa kar lauT jati hai

main apni qaid ko hi apni aazadi samajh lunga

rihai mujh ko zanjiren laga kar lauT jati hai

agar itni hi sarkash hai to mujh pe kyun nahin girti

wahi bijli jo mera ghar jala kar lauT jati hai

wahan par bhi charagh-e-arzu hum ne jalae hain

jahan se raushni bhi sar jhuka kar lauT jati hai

use main dekh to leta hun lekin chhu nahin pata

koi shai hai jo mere pas aa kar lauT jati hai

(613) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yunhi Aksar Mujhe Samjha Bujha Kar LauT Jati Hai In English By Famous Poet Imtiyaz Ahmad. Yunhi Aksar Mujhe Samjha Bujha Kar LauT Jati Hai is written by Imtiyaz Ahmad. Read famous Poem Yunhi Aksar Mujhe Samjha Bujha Kar LauT Jati Hai for youth and Student by Imtiyaz Ahmad. Free Download Yunhi Aksar Mujhe Samjha Bujha Kar LauT Jati Hai in PDF.