Hain Ghar Ki Muhafiz Meri Dahki Hui Aankhen

hain ghar ki muhafiz meri dahki hui aankhen

main taq mein rakh aaya hun jalti hui aankhen

ek pal bhi kisi moD pe rukne nahin detin

kanTon ki tarah jism mein chubhti hui aankhen

raste mein qadam phunk ke rakhna mere pyaro

hain chaaron taraf shahr mein bikhri hui aankhen

yun us ke bichhaD jaane pe aansu na bahao

manzar ko taras jaengi bhigi hui aankhen

qatil ke siwa koi samajh hi nahin sakta

kya dekhti hain tasht mein rakkhi hui aankhen

kya jaaniye kis KHwab ki tabir mein gum hain

zulfon ki ghani chhanw mein uljhi hui aankhen

'saghar' shab-e-tira mein ujalon ki amin hain

nafrat ke samundar mein ye bahti hui aankhen

(778) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hain Ghar Ki Muhafiz Meri Dahki Hui Aankhen In English By Famous Poet Imtiyaz Saghar. Hain Ghar Ki Muhafiz Meri Dahki Hui Aankhen is written by Imtiyaz Saghar. Read famous Poem Hain Ghar Ki Muhafiz Meri Dahki Hui Aankhen for youth and Student by Imtiyaz Saghar. Free Download Hain Ghar Ki Muhafiz Meri Dahki Hui Aankhen in PDF.