Har Be-KHata Hai Aaj KHata-kar Dekhna

har be-KHata hai aaj KHata-kar dekhna

sachchaiyon pe jhuT ki yalghaar dekhna

taqdir ban na jae shab-e-tar dekhna

bujhne ko hai charagh sar-e-dar dekhna

maqtul ki jabin pe hai qatil likha hua

kya faisla ho kal sar-e-darbar dekhna

hoga bahut shadid tamazat ka intiqam

sae se mil ke roegi diwar dekhna

in pattharon ke sae mein rukna fuzul hai

be-barg-o-be-samar hain ye kohsar dekhna

is shahr-e-arzu ko nazar kis ki kha gai

maqtal bane hain kucha-o-bazar dekhna

kuchh din agar ye mausam-e-wahshat-asar raha

har aadmi ko be-dar-o-diwar dekhna

deta hun kaise jaan sar-e-jada-e-wafa

mujh ko na dekhna mera pindar dekhna

KHun-e-jigar se likhta hun 'saghar' main harf-e-haq

waqt aae to qalam ko bhi talwar dekhna

(1049) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Be-KHata Hai Aaj KHata-kar Dekhna In English By Famous Poet Imtiyaz Saghar. Har Be-KHata Hai Aaj KHata-kar Dekhna is written by Imtiyaz Saghar. Read famous Poem Har Be-KHata Hai Aaj KHata-kar Dekhna for youth and Student by Imtiyaz Saghar. Free Download Har Be-KHata Hai Aaj KHata-kar Dekhna in PDF.