Jo Chala Aata Hai KHwabon Ki Taraf-dari Ko

jo chala aata hai KHwabon ki taraf-dari ko

us ne dekha hi nahin aalam-e-be-zari ko

pairahan chaak na ho jae mere KHwabon ka

koi tabdil kare rasm-e-azadari ko

chaaragar jab tujhe ehsas nahin hai to phir

kaun samjhe bhala bimar ki bimari ko

main ne socha tha jo bikne se bacha lenge mujhe

dauD kar aae wahi meri KHaridari ko

aalam-e-KHwab mein hai jis ki hukumat yaro

wo samajhta hai baghawat meri bedari ko

dil ke sahra ko samundar se bacha le maula

is qadar sahl na kar tu meri dushwari ko

kitne bhole hain teri bazm mein baiThe hue log

sach samajhte hain sabhi teri adakari ko

(766) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Chala Aata Hai KHwabon Ki Taraf-dari Ko In English By Famous Poet Inaam Azmi. Jo Chala Aata Hai KHwabon Ki Taraf-dari Ko is written by Inaam Azmi. Read famous Poem Jo Chala Aata Hai KHwabon Ki Taraf-dari Ko for youth and Student by Inaam Azmi. Free Download Jo Chala Aata Hai KHwabon Ki Taraf-dari Ko in PDF.