Juda Ho Kar Samundar Se Kinara Kya Banega

juda ho kar samundar se kinara kya banega

nahin socha hai ab tak wo hamara kya banega

mujhe ye ek arse se zamin samjha rahi hai

falak se TuT kar mera sitara kya banega

main aisa lafz hun jis ka koi matlab nahin hai

KHuda hi jaane mera istiara kya banega

musawwir is liye tum ko banana chahta hai

use malum hai tum bin nazara kya banega

hawa se dosti kar li hai mere na-KHuda ne

meri kashti ka dariya mein sahaara kya banega

tumhaara faisla manzur hai lekin batao

bichhaD ke mujh se mustaqbil tumhaara kya banega

KHuda-e-bahr-o-bar tu ne jo phir duniya banai

hamari KHak se is mein dobara kya banega

(982) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Juda Ho Kar Samundar Se Kinara Kya Banega In English By Famous Poet Inaam Azmi. Juda Ho Kar Samundar Se Kinara Kya Banega is written by Inaam Azmi. Read famous Poem Juda Ho Kar Samundar Se Kinara Kya Banega for youth and Student by Inaam Azmi. Free Download Juda Ho Kar Samundar Se Kinara Kya Banega in PDF.