Kabhi To Chashm-e-falak Mein Haya Dikhai De

kabhi to chashm-e-falak mein haya dikhai de

ki dhup sar se haTe aur ghaTa dikhai de

main iqtibas-e-aziyyat hun lauh-e-duniya par

so mujh mein gham ke siwa aur kya dikhai

main chahta hun ki mere liye mere maula

lab-e-adu pe bhi harf-e-dua dikhai de

charagh ban ke sada is liye jale hum log

hamari zid thi ki hum ko hawa dikhai de

kabhi to sehn-e-gulistan se ho KHizan ruKHsat

kabhi to peD pe patta hara dikhai de

hisar-e-zat se main is liye nikalta nahin

ki chashm-e-tar ko meri kaun kya dikhai de

zamane baad laga KHud ko dekh kar aisa

ki jaise KHwab mein ek gum-shuda dikhai de

(923) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi To Chashm-e-falak Mein Haya Dikhai De In English By Famous Poet Inaam Azmi. Kabhi To Chashm-e-falak Mein Haya Dikhai De is written by Inaam Azmi. Read famous Poem Kabhi To Chashm-e-falak Mein Haya Dikhai De for youth and Student by Inaam Azmi. Free Download Kabhi To Chashm-e-falak Mein Haya Dikhai De in PDF.